Teri ankhon si ankhain
Aaj ek chehray pe dekhi hain
Wohi rangat, banawat
Aur wesi be-rukhi un main
Bichartai waqt jo mene
Teri ankhon main dekhatha
Teri ankhon si ankhon ne
Mujay ek pal ko dekha tha
Wo pal ek aam sa pal tha
Puranay kitnay mousam,
kitnay manzar mene dekhai thai
Meri jaan main ye samjha tha
Teri ankhon si ankhain jab
Meri ankhon ko dekhain gi
To aik lamhay ko sochain gi
Ke in ankhon ko pehlay bhi
Kisi chehray pe dekha hai
Magar in jheel ankhon main
Shanasaayi naahi jagi
Meri ankhain !!
Teri ankhon si ankhon kai liye
Kab Khaas ankhain thin
Teri ankhon ne shayed ye
Kayi chehron pe dekhi hoon
Ki ye to aam aankhain hain
Main aisa soch sakta tha
Magar main kya karoun dil ka
Jo ab yeh yaad rakhay ga
ki Teri ankhon si ankhain
Main ne ek chehray pe dekhi thin !!
Phir us kai baad kitnay din
Meri ankhon main sawan tha..
Aaj ek chehray pe dekhi hain
Wohi rangat, banawat
Aur wesi be-rukhi un main
Bichartai waqt jo mene
Teri ankhon main dekhatha
Teri ankhon si ankhon ne
Mujay ek pal ko dekha tha
Wo pal ek aam sa pal tha
Puranay kitnay mousam,
kitnay manzar mene dekhai thai
Meri jaan main ye samjha tha
Teri ankhon si ankhain jab
Meri ankhon ko dekhain gi
To aik lamhay ko sochain gi
Ke in ankhon ko pehlay bhi
Kisi chehray pe dekha hai
Magar in jheel ankhon main
Shanasaayi naahi jagi
Meri ankhain !!
Teri ankhon si ankhon kai liye
Kab Khaas ankhain thin
Teri ankhon ne shayed ye
Kayi chehron pe dekhi hoon
Ki ye to aam aankhain hain
Main aisa soch sakta tha
Magar main kya karoun dil ka
Jo ab yeh yaad rakhay ga
ki Teri ankhon si ankhain
Main ne ek chehray pe dekhi thin !!
Phir us kai baad kitnay din
Meri ankhon main sawan tha..
No comments:
Post a Comment